Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-tahasha si la-ubaali hansi

Bashir Badr

be-tahasha si la-ubaali hansi

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    be-tahāshā lā-ubālī hañsī

    chhin ga.ī ham se vo jiyālī hañsī

    lab khule jism muskurāne lagā

    phuul khilnā thā ki Daalī hañsī

    muskurā.ī ḳhudā mahviyyat

    hamārī be-ḳhayālī hañsī

    kaun be-dard chhīn letā hai

    mere phūloñ bholī-bhālī hañsī

    vo nahīñ thā vahāñ to kaun thā phir

    sabz pattoñ meñ kaise laalī hañsī

    dhuup meñ khet gungunāne lage

    jab koī gaañv jiyālī hañsī

    hañs paḌī shaam udaas fazā

    is tarah chaa.e pyālī hañsī

    maiñ kahīñ jā.ūñ hai ta.āqub meñ

    us vo jaan lene vaalī hañsī

    be-tahasha si la-ubaali hansi

    chhin gai hum se wo jiyali hansi

    lab khule jism muskurane laga

    phul ka khilna tha ki Dali hansi

    muskurai KHuda ki mahwiyyat

    ya hamari hi be-KHayali hansi

    kaun be-dard chhin leta hai

    mere phulon ki bholi-bhaali hansi

    wo nahin tha wahan to kaun tha phir

    sabz patton mein kaise lali hansi

    dhup mein khet gungunane lage

    jab koi ganw ki jiyali hansi

    hans paDi sham ki udas faza

    is tarah chae ki pyali hansi

    main kahin jaun hai taaqub mein

    us ki wo jaan lene wali hansi

    Source :
    • Book : Ikayee (Pg. 50)
    • Author : Bashir Badar
    • Publication : M.R. Publications (2011)
    • Edition : 2011

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now