na aasman se na dushman ke zor o zar se hua
na āsmāñ se na dushman ke zor o zar se huā
ye mo'jiza to mire dast-e-be-hunar se huā
qadam uThā hai to paañv tale zamīñ hī nahīñ
safar kā ranj hameñ ḳhvāhish-e-safar se huā
maiñ bhiig bhiig gayā aarzū kī bārish meñ
vo 'aks 'aks meñ taqsīm chashm-e-tar se huā
siyāhī shab kī na chehroñ pe aa ga.ī ho kahīñ
sahar kā ḳhauf hameñ ā.inoñ ke Dar se huā
koī chale to zamīñ saath saath chaltī hai
ye raaz ham pe 'ayāñ gard-e-rahguzar se huā
tire badan kī mahak hī na thī to kyā rukte
guzar hamārā ka.ī baar yuuñ to ghar se huā
kahāñ pe so.e the 'amjad' kahāñ khulīñ āñkheñ
gumāñ qafas kā hameñ apne bām-o-dar se huā
na aasman se na dushman ke zor o zar se hua
ye mo'jiza to mere dast-e-be-hunar se hua
qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin
safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua
main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein
wo 'aks 'aks mein taqsim chashm-e-tar se hua
siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin
sahar ka KHauf hamein aainon ke Dar se hua
koi chale to zamin sath sath chalti hai
ye raaz hum pe 'ayan gard-e-rahguzar se hua
tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte
guzar hamara kai bar yun to ghar se hua
kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen
guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.