Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

Meer Hasan

na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

Meer Hasan

na baaġh se ġharaz hai na gulzār se ġharaz

hai bhī jo kuchh ġharaz to hameñ yaar se ġharaz

phirte haiñ ham to diid ko tere dar pe kuchh

raste se hai na kaam na bāzār se ġharaz

kahne se kyā kisī ke koī kuchh kahā kare

ham ko to ek us hai guftār se ġharaz

in dinoñ meñ aap se bhī hai ḳhafā va-lek

bezār jo nahīñ hai to dildār se ġharaz

phir phir ke aaj pūchhte ho dil haal kyuuñ

hai ḳhair tum ko kyā dil-e-bīmār se ġharaz

aane va.ada kar ki na kar ham ko ab tire

iqrār se na kaam na inkār se ġharaz

ham ko bhī dushmanī se tire kaam kuchh nahīñ

tujh ko agar hamāre nahīñ pyaar se ġharaz

sar-rishta jis ke haath lagā ishq use

tasbīh se na shauq na zunnār se ġharaz

dīñ-dār jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to

kāfir huuñ maiñ bhī rakhkhūñ jo dīñ-dār se ġharaz

na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

hai bhi jo kuchh gharaz to hamein yar se gharaz

phirte hain hum to did ko tere hi dar pe kuchh

raste se hai na kaam na bazar se gharaz

kahne se kya kisi ke koi kuchh kaha kare

hum ko to ek us ki hai guftar se gharaz

ji in dinon mein aap se bhi hai KHafa wa-lek

bezar jo nahin hai to dildar se gharaz

phir phir ke aaj puchhte ho dil ka haal kyun

hai KHair tum ko kya dil-e-bimar se gharaz

aane ka wada kar ki na kar hum ko ab tere

iqrar se na kaam na inkar se gharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin

tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

sar-rishta jis ke hath laga ishq ka use

tasbih se na shauq na zunnar se gharaz

din-dar jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to

kafir hun main bhi rakhkhun jo din-dar se gharaz

Source :
  • Deewan-e-Meer Hasan
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now