na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain
na chashm-e-tar batātī hai na zaḳhm-e-sar batāte haiñ
vo ik rūdād jo sahme hue ye ghar batāte haiñ
maiñ apne āñsuoñ par is liye qaabū nahīñ rakhtā
ki mere dil kī hālat mujh se ye behtar batāte haiñ
unheñ dil kī sadāoñ par bhalā kaise yaqīñ hogā
ye āñkheñ to vahī suntī haiñ jo manzar batāte haiñ
yaqīnan phir kisī ne jur.at-e-parvāz kī hogī
yahāñ chāroñ taraf bikhre hue ye par batāte haiñ
kahāñ gum ho gayā hai rāste meñ vo musāfir bhī
na kuchh rahzan batāte haiñ na kuchh rahbar batāte haiñ
zarā ye dhuup Dhal jaa.e to un kā haal pūchheñge
yahāñ kuchh saa.e apne aap ko paikar batāte haiñ
tujhe bhī 'shād' apnī zaat se bāhar nikalnā hai
sadaf kī qaid se nikle hue gauhar batāte haiñ
na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain
wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain
main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta
ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain
unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga
ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain
yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi
yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain
kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi
na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain
zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain
tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai
sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain
- Book : Zara ye Dhoop Dhal Jaye (Pg. 9)
- Author : Khushbir Singh Shaad
- Publication : Suman Parkashan, Bhadoriya Complex, Lucknow (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.