Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai

Salim Saleem

na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    na chhīn le kahīñ tanhā.ī Dar rahtā hai

    mire makāñ meñ vo dīvār-o-dar rahtā hai

    kabhī kabhī to ubhartī hai chīḳh koī

    kahīñ kahīñ mire andar khañDar rahtā hai

    vo āsmāñ ho ki parchhā.īñ ho ki terā ḳhayāl

    koī to hai jo mirā ham-safar rahtā hai

    maiñ joḌ joḌ ke jis ko zamāna kartā huuñ

    vo mujh meñ TuuTā huā lamha bhar rahtā hai

    zarā nikle to ye shahr ulaT palaT jaa.e

    vo apne ghar meñ bahut be-zarar rahtā hai

    bulā rahā thā vo dariyā ke paar se ik din

    jabhī se paañv meñ mere bhañvar rahtā hai

    na jaane kaisī girānī uThā.e phirtā huuñ

    na jaane kyā mire kāñdhe pe sar rahtā hai

    chalo 'salīm' zarā kuchh ilāj-e-jāñ kar leñ

    yahīñ kahīñ pe koī chāra-gar rahtā hai

    na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai

    mere makan mein wo diwar-o-dar sa rahta hai

    kabhi kabhi to ubharti hai chiKH si koi

    kahin kahin mere andar khanDar sa rahta hai

    wo aasman ho ki parchhain ho ki tera KHayal

    koi to hai jo mera ham-safar sa rahta hai

    main joD joD ke jis ko zamana karta hun

    wo mujh mein TuTa hua lamha bhar sa rahta hai

    zara sa nikle to ye shahr ulaT palaT jae

    wo apne ghar mein bahut be-zarar sa rahta hai

    bula raha tha wo dariya ke par se ek din

    jabhi se panw mein mere bhanwar sa rahta hai

    na jaane kaisi girani uThae phirta hun

    na jaane kya mere kandhe pe sar sa rahta hai

    chalo 'salim' zara kuchh ilaj-e-jaan kar len

    yahin kahin pe koi chaara-gar sa rahta hai

    Source :
    • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 56)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 2nd
    • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 58)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2017)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now