na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
na ham-safar na kisī ham-nashīñ se niklegā
hamāre paañv kā kāñTā hamīñ se niklegā
maiñ jāntā thā ki zahrīlā saañp ban ban kar
tirā ḳhulūs mirī āstīñ se niklegā
isī galī meñ vo bhūkā faqīr rahtā thā
talāsh kiije ḳhazāna yahīñ se niklegā
buzurg kahte the ik vaqt aa.egā jis din
jahāñ pe Dūbegā sūraj vahīñ se niklegā
guzishta saal ke zaḳhmo hare-bhare rahnā
julūs ab ke baras bhī yahīñ se niklegā
na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
hamare panw ka kanTa hamin se niklega
main jaanta tha ki zahrila sanp ban ban kar
tera KHulus meri aastin se niklega
isi gali mein wo bhuka faqir rahta tha
talash kije KHazana yahin se niklega
buzurg kahte the ek waqt aaega jis din
jahan pe Dubega suraj wahin se niklega
guzishta sal ke zaKHmo hare-bhare rahna
julus ab ke baras bhi yahin se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.