Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si

Nazeer Akbarabadi

na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    na surḳhī ġhuncha-e-gul meñ tire dahan

    na yāsman meñ safā.ī tire badan

    maiñ kyuuñ na phūlūñ ki us gul-badan ke aane se

    bahār aaj mire ghar meñ hai chaman

    ye barq-e-abr meñ dekhe se yaad aatī hai

    jhalak kisī ke dupaTTe meñ nau-ratan

    guloñ ke rañg ko kyā dekhte ho ai ḳhūbāñ

    ye rañgateñ haiñ tumhāre pairahan

    jo dil thā vasl meñ ābād tere hijr meñ aah

    banī hai shakl ab us ujaaḌ ban

    apne tan ko na de nastaran se ab tashbīh

    bhalā dekh ye narmī hai tere tan

    tirā jo paañv talvā hai bazm-e-maḳhmal

    safā.ī is meñ hai kahiye to nastaran

    'nazīr' ek ġhazal is zamīñ meñ aur bhī likh

    ki ab to kam hai ravānī tire suḳhan

    na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si

    na yasman mein safai tere badan ki si

    main kyun na phulun ki us gul-badan ke aane se

    bahaar aaj mere ghar mein hai chaman ki si

    ye barq-e-abr mein dekhe se yaad aati hai

    jhalak kisi ke dupaTTe mein nau-ratan ki si

    gulon ke rang ko kya dekhte ho ai KHuban

    ye rangaten hain tumhaare hi pairahan ki si

    jo dil tha wasl mein aabaad tere hijr mein aah

    bani hai shakl ab us ki ujaD ban ki si

    tu apne tan ko na de nastaran se ab tashbih

    bhala tu dekh ye narmi hai tere tan ki si

    tera jo panw ka talwa hai bazm-e-maKHmal sa

    safai is mein hai kahiye to nastaran ki si

    'nazir' ek ghazal is zamin mein aur bhi likh

    ki ab to kam hai rawani tere suKHan ki si

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now