nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo
nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo
Mahtab Haider Naqvi
MORE BYMahtab Haider Naqvi
na.e safar kī lazzatoñ se jism o jaañ ko sar karo
safar meñ hoñgī barkateñ safar karo safar karo
udaas raat ke gudāz jism ko TaTol kar
kisī kī zulf-e-sāya-dār kī girah meñ ghar karo
jo aañkh ho to dekh tū sarāb hī sarāb hai
na e'tibār tishnagī meñ mauj-e-āb par karo
purānī āstīn se purāne but karo rihā
na.ī zamīn par na.e ḳhudā ko mo'tabar karo
jamāl-e-yār se karo kabhī nazar ko paak bhī
ḳhayāl-e-yār se kabhī kabhī shabeñ sahar karo
nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo
safar mein hongi barkaten safar karo safar karo
udas raat ke gudaz jism ko TaTol kar
kisi ki zulf-e-saya-dar ki girah mein ghar karo
jo aankh ho to dekh tu sarab hi sarab hai
na e'tibar tishnagi mein mauj-e-ab par karo
purani aastin se purane but karo riha
nai zamin par nae KHuda ko mo'tabar karo
jamal-e-yar se karo kabhi nazar ko pak bhi
KHayal-e-yar se kabhi kabhi shaben sahar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.