nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain
nafas nafas pe mujhe yaad aa.e jaate haiñ
tamām rūh-e-taḳhayyul pe chhā.e jaate haiñ
ham un kā zauq-e-mohabbat chhupā.e jaate haiñ
magar ye abr jo sāvan ke aa.e jaate haiñ
yahī samāñ thā kisī kī vidā-e-āḳhir kā
sitāra-hā-e-sahar jhilmilā.e jaate haiñ
zamāna yaad kare yā sabā kare ḳhāmosh
ham ik charāġh-e-mohabbat jalā.e jaate haiñ
'nushūr' aap ke ash.ār-e-dard kyā kahnā
kisī kī bazm-e-mohabbat meñ gaa.e jaate haiñ
nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain
tamam ruh-e-taKHayyul pe chhae jate hain
hum un ka zauq-e-mohabbat chhupae jate hain
magar ye abr jo sawan ke aae jate hain
yahi saman tha kisi ki wida-e-aKHir ka
sitara-ha-e-sahar jhilmilae jate hain
zamana yaad kare ya saba kare KHamosh
hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain
'nushur' aap ke ashaar-e-dard kya kahna
kisi ki bazm-e-mohabbat mein gae jate hain
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 108)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.