nagar nagar mele ko gae kaun sunega teri pukar
nagar nagar mele ko ga.e kaun sunegā terī pukār
ai dil ai dīvāne dil! dīvāroñ se sar de maar
ruuh ke is vīrāne meñ terī yaad hī sab kuchh thī
aaj to vo bhī yuuñ guzrī jaise ġharīboñ kā tyauhār
us ke vaar pe shāyad aaj tujh ko yaad aa.e hoñ vo din
ai nādān ḳhulūs ki jab vo ġhāfil thā ham hushyār
pal pal sadiyāñ biit ga.iiñ jaane kis din badlegī
ek tirī āhista-ravī ek zamāne kī raftār
pichhlī fasl meñ jitne bhī ahl-e-junūñ the kaam aa.e
kaun sajā.egā terī mashq kā sāmāñ ab kī baar?
sub.h ke nikle dīvāne ab kyā lauT ke ā.eñge
Duub chalā hai shahr meñ din phail chalā hai sāya-e-dār
nagar nagar mele ko gae kaun sunega teri pukar
ai dil ai diwane dil! diwaron se sar de mar
ruh ke is virane mein teri yaad hi sab kuchh thi
aaj to wo bhi yun guzri jaise gharibon ka tyauhaar
us ke war pe shayad aaj tujh ko yaad aae hon wo din
ai nadan KHulus ki jab wo ghafil tha hum hushyar
pal pal sadiyan bit gain jaane kis din badlegi
ek teri aahista-rawi ek zamane ki raftar
pichhli fasl mein jitne bhi ahl-e-junun the kaam aae
kaun sajaega teri mashq ka saman ab ki bar?
subh ke nikle diwane ab kya lauT ke aaenge
Dub chala hai shahr mein din phail chala hai saya-e-dar
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(shahr-e-aazar) (Pg. 169)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.