nahin main hausla to kar raha tha
nahīñ maiñ hausla to kar rahā thā
zarā tere sukūñ se Dar rahā thā
achānak jheñp kar hañsne lagā maiñ
bahut rone kī koshish kar rahā thā
bhañvar meñ phir hameñ kuchh mashġhale the
vo bechāra to sāhil par rahā thā
larazte kāñpte hāthoñ se būḌhā
chilam meñ phir koī dukh bhar rahā thā
achānak lau uThī aur jal gayā maiñ
bujhī kirnoñ ko yakjā kar rahā thā
gila kyā thā agar sab saath hote
vo bas tanhā safar se Dar rahā thā
ġhalat thā roknā ashkoñ ko yuuñ bhī
ki buniyādoñ meñ paanī mar rahā thā
nahin main hausla to kar raha tha
zara tere sukun se Dar raha tha
achanak jhenp kar hansne laga main
bahut rone ki koshish kar raha tha
bhanwar mein phir hamein kuchh mashghale the
wo bechaara to sahil par raha tha
larazte kanpte hathon se buDha
chilam mein phir koi dukh bhar raha tha
achanak lau uThi aur jal gaya main
bujhi kirnon ko yakja kar raha tha
gila kya tha agar sab sath hote
wo bas tanha safar se Dar raha tha
ghalat tha rokna ashkon ko yun bhi
ki buniyaadon mein pani mar raha tha
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 77)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.