naqsh-e-KHayal dil se miTaya nahin hanuz
naqsh-e-ḳhayāl dil se miTāyā nahīñ hanūz
be-dard maiñ ne tujh ko bhulāyā nahīñ hanūz
vo sar jo terī rāhguzar meñ thā sajda-rez
maiñ ne kisī qadam pe jhukāyā nahīñ hanūz
mehrāb-e-jāñ meñ tū ne jalāyā thā ḳhud jise
siine kā vo charāġh bujhāyā nahīñ hanūz
behosh ho ke jald tujhe hosh aa gayā
maiñ bad-nasīb hosh meñ aayā nahīñ hanūz
mar kar bhī aa.egī ye sadā qabr-e-'josh' se
be-dard maiñ ne tujh ko bhulāyā nahīñ hanūz
naqsh-e-KHayal dil se miTaya nahin hanuz
be-dard main ne tujh ko bhulaya nahin hanuz
wo sar jo teri rahguzar mein tha sajda-rez
main ne kisi qadam pe jhukaya nahin hanuz
mehrab-e-jaan mein tu ne jalaya tha KHud jise
sine ka wo charagh bujhaya nahin hanuz
behosh ho ke jald tujhe hosh aa gaya
main bad-nasib hosh mein aaya nahin hanuz
mar kar bhi aaegi ye sada qabr-e-'josh' se
be-dard main ne tujh ko bhulaya nahin hanuz
- Book : Junoon (Pg. 118)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.