nigah oT rahun kasa-e-KHabar mein rahun
nigāh oT rahūñ kāsa-e-ḳhabar meñ rahūñ
maiñ bujhte bujhte bhī pairāhan-e-sharar meñ rahūñ
maiñ ḳhud hī roz tamannā meñ aap shām-e-firāq
ajab nahīñ jo akelī bhare nagar meñ rahūñ
sulag uThī to añdheroñ kā rakh liyā hai bharam
jo raushnī hoñ to kyuuñ chashm-e-nauha-gar meñ rahūñ
tamām umr safar meñ guzār duuñ apnī
tamām umr tamannā-e-rahguzar meñ rahūñ
likhā gayā mujhe āvāz-e-ḳhāmushī kī tarah
ḳhud apnā aks banūñ sāya-e-hunar meñ rahūñ
vo tishnagī thī ki shabnam ko hoñT tarse haiñ
vo aab huuñ ki muqayyad guhar guhar meñ rahūñ
'adā' maiñ nik.hat-e-gul bhī na thī sabā bhī na thī
ki mehmāñ sī rahūñ aur apne ghar meñ rahūñ
nigah oT rahun kasa-e-KHabar mein rahun
main bujhte bujhte bhi pairahan-e-sharar mein rahun
main KHud hi roz tamanna mein aap sham-e-firaq
ajab nahin jo akeli bhare nagar mein rahun
sulag uThi to andheron ka rakh liya hai bharam
jo raushni hon to kyun chashm-e-nauha-gar mein rahun
tamam umr safar mein guzar dun apni
tamam umr tamanna-e-rahguzar mein rahun
likha gaya mujhe aawaz-e-KHamushi ki tarah
KHud apna aks banun saya-e-hunar mein rahun
wo tishnagi thi ki shabnam ko honT tarse hain
wo aab hun ki muqayyad guhar guhar mein rahun
'ada' main nikhat-e-gul bhi na thi saba bhi na thi
ki mehman si rahun aur apne ghar mein rahun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 309)
- Author : Dr. rashid amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.