nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega
nīm-chā jald myaañ hī na miyāñ kījiyegā
nīm-jānoñ kā abhī kaam ravāñ kījiyegā
tāqat-e-garmī-e-ḳhurshīd-e-qayāmat hai kise
taab kī dāġh-e-jigar se na fuġhāñ kījiyegā
dil meñ tum ho na jalāo mire dil ko dekho
merā nuqsān nahīñ apnā ziyāñ kījiyegā
kah do baqqāl pisar se ki mirā dil le kar
qasd-e-aḳhz-e-dil-e-aġhyār na haañ kījiyegā
dil se dil paas haiñ to bhī hai diloñ kī ḳhvāhish
kyā diloñ kī kahīñ dillī meñ dukāñ kījiyegā
aur bhī soz-e-jigar bazm meñ hogā raushan
sham.a saañ qat.a agar merī zabāñ kījiyegā
yaar jab saath safar meñ ho kahāñ kī rozī
roz rozoñ hī meñ īd-e-ramzāñ kījiyegā
kis se yārab kahūñ ahvāl ye kahtā hai vo but
apnī yaañ rām-kahānī na bayāñ kījiyegā
vo dhuāñ-dhār sī zulfeñ haiñ nazar meñ har shab
vird ab sura-e-vallail-o-duḳhāñ kījiyegā
shahr-e-dil kī tumheñ ābādī kā kuchh bhī hai ḳhayāl
yā jahāñ rahiyegā vīrāñ hī vahāñ kījiyegā
merī jānib se kaho mohtasib-e-shahr se ye
sa.ī-e-arzānī-e-mai az dil-o-jāñ kījiyegā
paanī pī pī ke tumheñ deveñge dushnām ye riñd
tum subuk hoge agar baada girāñ kījiyegā
jald 'ehsāñ' se kaho vo but-e-ḳhud-kām aayā
ab to lillāh kahīñ band zabāñ kījiyegā
nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega
nim-jaanon ka abhi kaam rawan kijiyega
taqat-e-garmi-e-KHurshid-e-qayamat hai kise
tab ki dagh-e-jigar se na fughan kijiyega
dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho
mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega
kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar
qasd-e-aKHz-e-dil-e-aghyar na han kijiyega
dil se dil pas hain to bhi hai dilon ki KHwahish
kya dilon ki kahin dilli mein dukan kijiyega
aur bhi soz-e-jigar bazm mein hoga raushan
shama san qata agar meri zaban kijiyega
yar jab sath safar mein ho kahan ki rozi
roz rozon hi mein id-e-ramzan kijiyega
kis se yarab kahun ahwal ye kahta hai wo but
apni yan ram-kahani na bayan kijiyega
wo dhuan-dhaar si zulfen hain nazar mein har shab
wird ab sura-e-wallail-o-duKHan kijiyega
shahr-e-dil ki tumhein aabaadi ka kuchh bhi hai KHayal
ya jahan rahiyega viran hi wahan kijiyega
meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye
sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaan kijiyega
pani pi pi ke tumhein dewenge dushnam ye rind
tum subuk hoge agar baada giran kijiyega
jald 'ehsan' se kaho wo but-e-KHud-kaam aaya
ab to lillah kahin band zaban kijiyega
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.