nisbat wahi mah-e-asman se
nisbat vahī māh-e-āsmāñ se
laa.eñ tashbīh-e-ruḳh kahāñ se
missī kī sifat bayāñ na hogī
sausan bhī kahe jo sau zabāñ se
tashbīh jo maañg kī na haath aa.e
lā.ūñ maiñ maañg kahkashāñ se
saudā hai jo bulbuloñ ko gul kā
tinke chun laa.eñ āshiyāñ se
ye hārij-e-shab vo māne-e-roz
darbāñ se laḌūñ ki pāsbāñ se
jīteñge na ham se bāzī-e-ishq
aġhyār ke piT paḌeñge pāñse
hai qadr-e-suḳhan 'saḳhī' ko hāsil
yaañ ke har piir aur javāñ se
nisbat wahi mah-e-asman se
laen tashbih-e-ruKH kahan se
missi ki sifat bayan na hogi
sausan bhi kahe jo sau zaban se
tashbih jo mang ki na hath aae
laun main mang kahkashan se
sauda hai jo bulbulon ko gul ka
tinke chun laen aashiyan se
ye haarij-e-shab wo mane-e-roz
darban se laDun ki pasban se
jitenge na hum se bazi-e-ishq
aghyar ke piT paDenge panse
hai qadr-e-suKHan 'saKHi' ko hasil
yan ke har pir aur jawan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.