Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren

Ishrat Afreen

yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren

Ishrat Afreen

yūñhī kisī ke dhyān meñ apne aap meñ gaatī do-pahreñ

narm gulābī jāḌoñ vaalī baal sukhātī do-pahreñ

saare ghar meñ shaam Dhale tak khel vo dhuup aur chhāñv

lappe patte kachche āñgan meñ loT lagātī do-pahreñ

jīvan-Dor ke pīchhe hairāñ bhāgtī Tolī bachchoñ

galiyoñ galiyoñ nañge paañv dhuul uḌātī do-pahreñ

sargoshī karte parde kunDī khaTkātā naT-khaT din

dabe dabe qadmoñ se taptī chhat par jaatī do-pahreñ

kamre meñ hairān khaḌe ā.īna jaise hañste din

ḳhud se laḌ kar gaurayyā shor machātī do-pahreñ

vahī muzāfātoñ ke bhed bhare sannāToñ vaale ghar

guḌiyoñ ke lab kar un byaah rachātī do-pahreñ

khiḌkī ke TuuTe shīshoñ par ek kahānī likhtī haiñ

mañDhe hue piile kāġhaz se chhan kar aatī do-pahreñ

niim tale vo kachche dhāge rañgtī huī purānī yaad

gherā Daale chhoTī chhoTī haath baTātī do-pahreñ

phaTī-purānī kathrī oḌhe dhuup señkte būḌhe din

peshānī tak pallū khīñche chilam banātī do-pahreñ

paanī taqsīm ke pīchhe jalte khet sulagte ghar

aur khetoñ zard muñDeroñ par kumlātī do-pahreñ

purvā.ī se laḌte kitne varaq purānī yādoñ ke

sauġhātoñ ke sandūqoñ ko dhuup dikhātī do-pahreñ

dukhtī āñkheñ zaḳhmī poreñ uljhe dhāgoñ jaise din

bādal jaisī oḌhniyoñ par phuul khilātī do-pahreñ

oḌhniyoñ ke uḌte bādal rañgoñ ke bāzāroñ meñ

chūḌī dūkānoñ se vo hameñ bulātī do-pahreñ

sunte haiñ ab un galiyoñ meñ phuul sharāre khilte haiñ

ḳhuun holī khel rahī haiñ rang nahātī do-pahreñ

ye to mere ḳhvāb nahīñ haiñ ye to merā shahr nahīñ

kis jānib se aa niklī haiñ ye gahnātī do-pahreñ

yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren

narm gulabi jaDon wali baal sukhati do-pahren

sare ghar mein sham Dhale tak khel wo dhup aur chhanw ka

lappe patte kachche aangan mein loT lagati do-pahren

jiwan-Dor ke pichhe hairan bhagti Toli bachchon ki

galiyon galiyon nange panw dhul uDati do-pahren

sargoshi karte parde kunDi khaTkata naT-khaT din

dabe dabe qadmon se tapti chhat par jati do-pahren

kamre mein hairan khaDe aaina jaise hanste din

KHud se laD kar gaurayya si shor machati do-pahren

wahi muzafaton ke bhed bhare sannaTon wale ghar

guDiyon ke lab si kar un ka byah rachati do-pahren

khiDki ke TuTe shishon par ek kahani likhti hain

manDhe hue pile kaghaz se chhan kar aati do-pahren

nim tale wo kachche dhage rangti hui purani yaad

ghera Dale chhoTi chhoTi hath baTati do-pahren

phaTi-purani kathri oDhe dhup senkte buDhe din

peshani tak pallu khinche chilam banati do-pahren

pani ki taqsim ke pichhe jalte khet sulagte ghar

aur kheton ki zard munDeron par kumlati do-pahren

purwai se laDte kitne waraq purani yaadon ke

saughaton ke sanduqon ko dhup dikhati do-pahren

dukhti aankhen zaKHmi poren uljhe dhagon jaise din

baadal jaisi oDhniyon par phul khilati do-pahren

oDhniyon ke uDte baadal rangon ke bazaron mein

chuDi ki dukanon se wo hamein bulati do-pahren

sunte hain ab un galiyon mein phul sharare khilte hain

KHun ki holi khel rahi hain rang nahati do-pahren

ye to mere KHwab nahin hain ye to mera shahr nahin

kis jaanib se aa nikli hain ye gahnati do-pahren

Source :
  • Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 65)
  • Author :Ishrat Afreen
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now