pahuncha hai uske pas ye aaina TuT ke
pahuñchā hai us ke paas ye ā.īna TuuT ke
kis se milā hai shīsha-e-dil ham se phuuT ke
husn-e-malīh kā na kiyā zaḳhmiyoñ ne shukr
ai kirdgār nikle namak phuuT phuuT ke
sar phoḌ kar mue jo tire sang-e-dar se ham
rah rah ga.e hasīn bhī māthoñ ko kuuT ke
be-nūr hone par bhī vahī josh-e-girya hai
āñkheñ hamārī aur bahīñ phuuT phuuT ke
ai rashk-e-māh raat ko muTThī na kholnā
mehñdī kā chor haath se jaa.e na chhūT ke
tadbīr zahr dene kī hai pā.emāloñ ko
hiire lagā.e jaate haiñ pannoñ meñ boot ke
dil le ke palkeñ phir ga.iiñ zulfoñ kī aaḌ meñ
ulTī phirī ye fauj sar-e-shām luuT ke
mauzūñ kareñge vasf dikhāo phaketiyāñ
jaane na paa.eñ haath se mazmūn chhūT ke
dete haiñ mere sāmne ġhairoñ ko ḳharpuze
bāġh-e-jahāñ meñ aap haiñ mushtāq phuuT ke
kañghī se zulf uljhī to dil TukḌe ho gayā
ā.īne meñ ye baal paḌe TuuT TuuT ke
raftār meñ na kyuuñ ho chamak raqs-e-nāz kī
zohra bhī hai sharīk sitāroñ meñ luuT ke
ai rashk-e-mah jo zohra-e-gardūñ kā bas chale
toḌe tumhāre naach ke le jaa.e luuT ke
naqd-e-hayāt-o-jāma-e-tan chhīntī hai kyuuñ
ai maut kyā karegī musāfir ko luuT ke
'ambar ke badle mushk hai mauj-e-ḳhirām meñ
zulfoñ ke baal mil ga.e fiite se luuT ke
afshāñ jo chhūTī aap ke māthe se raat ko
taare gire zamīn par ai maah TuuT ke
ro ro ke ruuh jism se kahtī hai vaqt-e-naz'
ai ghar mileñge dekhiye kab tujh se chhūT ke
mujh ko nahīñ pasand ye farmā.ish ai 'munīr'
kyuuñ jhuuT bāñdhūñ qāfiyoñ meñ TuuT phuuT ke
pahuncha hai us ke pas ye aaina TuT ke
kis se mila hai shisha-e-dil hum se phuT ke
husn-e-malih ka na kiya zaKHmiyon ne shukr
ai kirdgar nikle namak phuT phuT ke
sar phoD kar mue jo tere sang-e-dar se hum
rah rah gae hasin bhi mathon ko kuT ke
be-nur hone par bhi wahi josh-e-girya hai
aankhen hamari aur bahin phuT phuT ke
ai rashk-e-mah raat ko muTThi na kholna
mehndi ka chor hath se jae na chhuT ke
tadbir zahr dene ki hai paemalon ko
hire lagae jate hain pannon mein boot ke
dil le ke palken phir gain zulfon ki aaD mein
ulTi phiri ye fauj sar-e-sham luT ke
mauzun karenge wasf dikhao phaketiyan
jaane na paen hath se mazmun chhuT ke
dete hain mere samne ghairon ko KHarpuze
bagh-e-jahan mein aap hain mushtaq phuT ke
kanghi se zulf uljhi to dil TukDe ho gaya
aaine mein ye baal paDe TuT TuT ke
raftar mein na kyun ho chamak raqs-e-naz ki
zohra bhi hai sharik sitaron mein luT ke
ai rashk-e-mah jo zohra-e-gardun ka bas chale
toDe tumhaare nach ke le jae luT ke
naqd-e-hayat-o-jama-e-tan chhinti hai kyun
ai maut kya karegi musafir ko luT ke
'ambar ke badle mushk hai mauj-e-KHiram mein
zulfon ke baal mil gae fite se luT ke
afshan jo chhuTi aap ke mathe se raat ko
tare gire zamin par ai mah TuT ke
ro ro ke ruh jism se kahti hai waqt-e-naz'
ai ghar milenge dekhiye kab tujh se chhuT ke
mujh ko nahin pasand ye farmaish ai 'munir'
kyun jhuT bandhun qafiyon mein TuT phuT ke
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.