paiham mauj-e-imkani mein
paiham mauj-e-imkānī meñ
aglā paañv na.e paanī meñ
saf-e-shafaq se mire bistar tak
sātoñ rañg farāvānī meñ
badan visāl-āhañg havā sā
qabā ajiib pareshānī meñ
kyā sālim pahchān hai us kī
vo ki nahīñ apne saanī meñ
Tok ke jaane kyā kahtā vo
us ne sunā sab be-dhyānī meñ
yaad tirī jaise ki sar-e-shām
dhund utar jaa.e paanī meñ
ḳhud se kabhī mil letā huuñ maiñ
sannāTe meñ vīrānī meñ
āḳhir sochā dekh hī liije
kyā kartā hai vo man-mānī meñ
ek diyā ākāsh meñ 'bānī'
ek charāġh sā peshānī meñ
paiham mauj-e-imkani mein
agla panw nae pani mein
saf-e-shafaq se mere bistar tak
saton rang farawani mein
badan visal-ahang hawa sa
qaba ajib pareshani mein
kya salim pahchan hai us ki
wo ki nahin apne sani mein
Tok ke jaane kya kahta wo
us ne suna sab be-dhyani mein
yaad teri jaise ki sar-e-sham
dhund utar jae pani mein
KHud se kabhi mil leta hun main
sannaTe mein virani mein
aaKHir socha dekh hi lije
kya karta hai wo man-mani mein
ek diya aakash mein 'bani'
ek charagh sa peshani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.