parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya
parvāna jal ke sāhab-e-kirdār ban gayā
lekin jamāl-e-sham.a gunahgār ban gayā
ham dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paḌe
har phuul dast-e-shāḳh meñ talvār ban gayā
imshab tulū-e-yār kā manzar ‘ajīb thā
bām-e-buland matla-e-anvār ban gayā
ai mahvashān-e-shahr mirī bandagī karo
maiñ ḳhud sañvar ke aks-e-ruḳh-e-yār ban gayā
vo daur the nazar pe hijāb-e-ġhurūr thā
vo chal diye maiñ dīda-e-bedār ban gayā
jab ḳhāmushī hī bazm kā dastūr ho ga.ī
maiñ aadmī se naqsh-ba-dīvār ban gayā
mahsūs kar rahā huuñ ki tanhā huuñ in dinoñ
har shahr garche misr kā bāzār ban gayā
jis ham-nafas ko mujh se matā-e-vafā milī
vo ham-nafas mirā hī ḳharīdār ban gayā
parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya
lekin jamal-e-shama gunahgar ban gaya
hum dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paDe
har phul dast-e-shaKH mein talwar ban gaya
imshab tulu-e-yar ka manzar ‘ajib tha
baam-e-buland matla-e-anwar ban gaya
ai mahwashan-e-shahr meri bandagi karo
main KHud sanwar ke aks-e-ruKH-e-yar ban gaya
wo daur the nazar pe hijab-e-ghurur tha
wo chal diye main dida-e-bedar ban gaya
jab KHamushi hi bazm ka dastur ho gai
main aadmi se naqsh-ba-diwar ban gaya
mahsus kar raha hun ki tanha hun in dinon
har shahr garche misr ka bazar ban gaya
jis ham-nafas ko mujh se mata-e-wafa mili
wo ham-nafas mera hi KHaridar ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.