patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
patthar ke jigar vaalo ġham meñ vo ravānī hai
ḳhud raah banā legā bahtā huā paanī hai
phūloñ meñ ġhazal rakhnā ye raat kī raanī hai
is meñ tirī zulfoñ kī be-rabt kahānī hai
ik zehn-e-pareshāñ meñ vo phuul sā chehra hai
patthar kī hifāzat meñ shīshe kī javānī hai
kyoñ chāñdnī rātoñ meñ dariyā pe nahāte ho
so.e hue paanī meñ kyā aag lagānī hai
is hausla-e-dil par ham ne bhī kafan pahnā
hañs kar koī pūchhegā kyā jaan gañvānī hai
rone kā asar dil par rah-rah ke badaltā hai
aañsū kabhī shīsha hai aañsū kabhī paanī hai
ye shabnamī lahja hai āhista ġhazal paḌhnā
titlī kī kahānī hai phūloñ kī zabānī hai
patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
KHud rah bana lega bahta hua pani hai
phulon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
is mein teri zulfon ki be-rabt kahani hai
ek zehn-e-pareshan mein wo phul sa chehra hai
patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai
kyon chandni raaton mein dariya pe nahate ho
soe hue pani mein kya aag lagani hai
is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna
hans kar koi puchhega kya jaan ganwani hai
rone ka asar dil par rah-rah ke badalta hai
aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai
ye shabnami lahja hai aahista ghazal paDhna
titli ki kahani hai phulon ki zabani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.