pattharon mein aaina maujud hai
pattharoñ meñ aa.inā maujūd hai
ya.anī mujh meñ dūsrā maujūd hai
zamzama-pairā koī to hai yahāñ
sehn-e-gulshan meñ havā maujūd hai
ḳhvāb ho kar rah gayā apne liye
jaag uThne kī sazā maujūd hai
ik samundar hai dil-e-ushshāq meñ
jis meñ har mauj-e-balā maujūd hai
āsmānī ghanTiyoñ ke shor meñ
us badan kī har sadā maujūd hai
maiñ kitāb-e-ḳhāk kholūñ to khule
kyā nahīñ maujūd kyā maujūd hai
jannat-e-arzī bulātī hai tumheñ
aao 'sarvat' rāsta maujūd hai
pattharon mein aaina maujud hai
yani mujh mein dusra maujud hai
zamzama-paira koi to hai yahan
sehn-e-gulshan mein hawa maujud hai
KHwab ho kar rah gaya apne liye
jag uThne ki saza maujud hai
ek samundar hai dil-e-ushshaq mein
jis mein har mauj-e-bala maujud hai
aasmani ghanTiyon ke shor mein
us badan ki har sada maujud hai
main kitab-e-KHak kholun to khule
kya nahin maujud kya maujud hai
jannat-e-arzi bulati hai tumhein
aao 'sarwat' rasta maujud hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 44)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.