phir harif-e-bahaar ho baiThe
phir harīf-e-bahār ho baiThe
jaane kis kis ko aaj ro baiThe
thī magar itnī rā.egāñ bhī na thī
aaj kuchh zindagī se kho baiThe
tere dar tak pahuñch ke lauT aa.e
ishq kī aabrū Dubo baiThe
saarī duniyā se duur ho jaa.e
jo zarā tere paas ho baiThe
na ga.ī terī be-ruḳhī na ga.ī
ham tirī aarzū bhī kho baiThe
'faiz' hotā rahe jo honā hai
sher likhte rahā karo baiThe
phir harif-e-bahaar ho baiThe
jaane kis kis ko aaj ro baiThe
thi magar itni raegan bhi na thi
aaj kuchh zindagi se kho baiThe
tere dar tak pahunch ke lauT aae
ishq ki aabru Dubo baiThe
sari duniya se dur ho jae
jo zara tere pas ho baiThe
na gai teri be-ruKHi na gai
hum teri aarzu bhi kho baiThe
'faiz' hota rahe jo hona hai
sher likhte raha karo baiThe
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 74)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.