phūloñ kī tarah lab khol kabhī
ḳhushbū kī zabāñ meñ bol kabhī
alfāz parakhtā rahtā hai
āvāz hamārī tol kabhī
anmol nahīñ lekin phir bhī
pūchh to muft kā mol kabhī
khiḌkī meñ kaTī haiñ sab rāteñ
kuchh chauras thiiñ kuchh gol kabhī
ye dil bhī dost zamīñ kī tarah
ho jaatā hai Dāñvā-Dol kabhī
phulon ki tarah lab khol kabhi
KHushbu ki zaban mein bol kabhi
alfaz parakhta rahta hai
aawaz hamari tol kabhi
anmol nahin lekin phir bhi
puchh to muft ka mol kabhi
khiDki mein kaTi hain sab raaten
kuchh chauras thin kuchh gol kabhi
ye dil bhi dost zamin ki tarah
ho jata hai Danwa-Dol kabhi
- Book : Yaar Julahe (Pg. 143)
- Author : Yatindra Mishra
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.