Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart

Khalilur Rahman Azmi

pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    piinā nahīñ harām, hai zahr-e-vafā shart

    aao uThā deñ aaj mai-e-jāñ-fazā shart

    shorīdgi-e-sar ke liye sañg-e-dar qaid

    zanjīr-e-ġham ke vāste zulf-e-dotā shart

    ho dopahar dhuup to palkoñ ke sā.ebāñ

    rāteñ guzārnī hoñ to kaalī balā shart

    ye kyā zarūr ho mizha-e-ishq ḳhūñ-fishāñ

    kyuuñ dast-e-nāz ke liye rañg-e-hinā shart

    har dil-figār ke liye kyuuñ chāk-e-pairahan

    har dil-navāz ke liye band-e-qabā shart

    kyā farz hai ki ham bhī baneñ qais-e-āmirī

    rāh-e-junūñ meñ kyuuñ ho kisī naqsh-e-pā shart

    kyuuñ dil ke toḌne ko kaheñ rasm-e-dilbarī

    kyuuñ ho kisī se vāda-e-sabr-āzmā shart

    kyuuñ ho kisī ko kūcha-e-qātil justujū

    kyuuñ imtihāñ ke vāste teġh-e-jafā shart

    kyuuñ zindagī ko jabr-e-musalsal naam deñ

    kyuuñ ārzū-e-maut ko dast-e-duā shart

    kyuuñ har ghaḌī zabāñ pe ho jurm-o-sazā zikr

    kyuuñ har amal fikr meñ ḳhauf-e-ḳhudā shart

    ham ne ḳhud apne-āp zamāne sair

    ham ne qubūl na kisī rahnumā shart

    pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart

    aao uTha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart

    shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid

    zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart

    ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban

    raaten guzarni hon to kali bala ki shart

    ye kya zarur ho mizha-e-ishq KHun-fishan

    kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart

    har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan

    har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart

    kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri

    rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart

    kyun dil ke toDne ko kahen rasm-e-dilbari

    kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart

    kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju

    kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart

    kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den

    kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart

    kyun har ghaDi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr

    kyun har amal ki fikr mein KHauf-e-KHuda ki shart

    hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki

    hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart

    Source :
    • Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 72)
    • Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now