pyar jadu hai kisi dil mein utar jaega
pyaar jaadū hai kisī dil meñ utar jā.egā
husn ik ḳhvāb hai aur ḳhvāb bikhar jā.egā
apnī āñkhoñ ko zarā hadd-e-adab meñ rakhnā
varna dhoke meñ koī jaañ se guzar jā.egā
ab kisī aur kā tum zikr na karnā mujh se
varna ik ḳhvāb jo āñkhoñ meñ hai mar jā.egā
ā.īna TuuTe hue dil kā dikhā duuñ maiñ agar
bevafā ḳhud tirā chehra bhī utar jā.egā
dil dukhāyā na kisī shaḳhs kā dil toḌā hai
mere hamrāh yahī zād-e-safar jā.egā
pyar jadu hai kisi dil mein utar jaega
husn ek KHwab hai aur KHwab bikhar jaega
apni aankhon ko zara hadd-e-adab mein rakhna
warna dhoke mein koi jaan se guzar jaega
ab kisi aur ka tum zikr na karna mujh se
warna ek KHwab jo aankhon mein hai mar jaega
aaina TuTe hue dil ka dikha dun main agar
bewafa KHud tera chehra bhi utar jaega
dil dukhaya na kisi shaKHs ka dil toDa hai
mere hamrah yahi zad-e-safar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.