Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qalam dil mein Duboya ja raha hai

Ahmad Nadeem Qasmi

qalam dil mein Duboya ja raha hai

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    qalam dil meñ Duboyā rahā hai

    nayā manshūr likkhā rahā hai

    maiñ kashtī meñ akelā to nahīñ huuñ

    mire hamrāh dariyā rahā hai

    salāmī ko jhuke jaate haiñ ashjār

    havā ek jhoñkā rahā hai

    musāfir musāfir har taraf haiñ

    magar har shaḳhs tanhā rahā hai

    maiñ ik insāñ huuñ saarā jahāñ huuñ

    bagūla hai ki sahrā rahā hai

    'nadīm' ab aamad aamad hai sahar

    sitāroñ ko bujhāyā rahā hai

    qalam dil mein Duboya ja raha hai

    naya manshur likkha ja raha hai

    main kashti mein akela to nahin hun

    mere hamrah dariya ja raha hai

    salami ko jhuke jate hain ashjar

    hawa ka ek jhonka ja raha hai

    musafir hi musafir har taraf hain

    magar har shaKHs tanha ja raha hai

    main ek insan hun ya sara jahan hun

    bagula hai ki sahra ja raha hai

    'nadim' ab aamad aamad hai sahar ki

    sitaron ko bujhaya ja raha hai

    RECITATIONS

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi,

    Ahmad Nadeem Qasmi

    qalam dil mein Duboya ja raha hai Ahmad Nadeem Qasmi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now