Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasam na khao taghaful se baz aane ki

Fani Badayuni

qasam na khao taghaful se baz aane ki

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    qasam na khaao taġhāful se baaz aane

    ki dil meñ ab nahīñ tāqat satā.e jaane

    hamārī maut ne kuchh muḳhtasar kiyā varna

    kuchh intihā na thī ishq ke fasāne

    girī na barq kuchh is ḳhauf se mire hote

    taḌap ke aag bujhā duuñ na āshiyāne

    tumhārā dard to darmāñ banā liyā ham ne

    ab aur sochiye tadbīr dil dukhāne

    zamāna kufr-e-mohabbat se kar chukā thā gurez

    tirī nazar ne palaT havā zamāne

    palaT palaT ke qafas samt jaatā huuñ

    kisī ne raah batā.ī na āshiyāne

    najāt ġham-e-duniyā se dard-e-dil ne mujhe

    ye ek raah milī ġham se chhūT jaane

    vo sub.h-e-īd manzar tire tasavvur meñ

    vo dil meñ aa ke adā tere muskurāne

    batā rahā hai har andāz ḳhāk-e-'fānī'

    ye ḳhaak hai usī kāfir ke āstāne

    qasam na khao taghaful se baz aane ki

    ki dil mein ab nahin taqat satae jaane ki

    hamari maut ne kuchh muKHtasar kiya warna

    kuchh intiha hi na thi ishq ke fasane ki

    giri na barq kuchh is KHauf se mere hote

    taDap ke aag bujha dun na aashiyane ki

    tumhaara dard to darman bana liya hum ne

    ab aur sochiye tadbir dil dukhane ki

    zamana kufr-e-mohabbat se kar chuka tha gurez

    teri nazar ne palaT di hawa zamane ki

    palaT palaT ke qafas hi ki samt jata hun

    kisi ne rah batai na aashiyane ki

    najat di gham-e-duniya se dard-e-dil ne mujhe

    ye ek rah mili gham se chhuT jaane ki

    wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein

    wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki

    bata raha hai har andaz KHak-e-'fani' ka

    ye KHak hai usi kafir ke aastane ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    qasam na khao taghaful se baz aane ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now