qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae
qasīde le ke saare shaukat-e-darbār tak aa.e
hamīñ do chaar the jo halqa-e-inkār tak aa.e
vo taptī dhuup se jab sāya-e-dīvār tak aa.e
to jaatī dhuup ke manzar lab-e-iz.hār tak aa.e
vo jis ko dekhne ik bhiiḌ umDī thī sar-e-maqtal
usī kī diid ko ham bhī sutūn-e-dār tak aa.e
tarab-zādoñ kī rāteñ husn se ābād rahtī thiiñ
suḳhan-zāde to bas zikr-e-lab-o-ruḳhsār tak aa.e
zamīñ ke haath par hai āsmāñ ye kyā maqām aayā
ye kis imkāñ bharī duniyā ke ham āsār tak aa.e
anā ke gumbadoñ meñ jin kā fan gūñjā kiyā barsoñ
hunar un ke bhī bikne raunaq-e-bāzār tak aa.e
qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae
hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aae
wo tapti dhup se jab saya-e-diwar tak aae
to jati dhup ke manzar lab-e-izhaar tak aae
wo jis ko dekhne ek bhiD umDi thi sar-e-maqtal
usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae
tarab-zadon ki raaten husn se aabaad rahti thin
suKHan-zade to bas zikr-e-lab-o-ruKHsar tak aae
zamin ke hath par hai aasman ye kya maqam aaya
ye kis imkan bhari duniya ke hum aasar tak aae
ana ke gumbadon mein jin ka fan gunja kiya barson
hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aae
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 272)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.