Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua

Saqi Faruqi

raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    raat apne ḳhvāb qīmat andāza huā

    ye sitāra niiñd tahzīb se paidā huā

    zehn zarḳhez miTTī se na.e chehre uge

    jo mirī yādoñ meñ zinda hai sarāsīma huā

    merī āñkhoñ meñ anokhe jurm tajvīz thī

    sirf dekhā thā use us badan mailā huā

    vo koī ḳhush-bū hai merī saañs meñ bahtī huī

    maiñ koī aañsū huuñ us ruuh meñ girtā huā

    us ke milne aur bichhaḌ jaane manzar ek hai

    kaun itne fāsloñ meñ be-hijāb aisā huā

    raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua

    ye sitara nind ki tahzib se paida hua

    zehn ki zarKHez miTTi se nae chehre uge

    jo meri yaadon mein zinda hai sarasima hua

    meri aankhon mein anokhe jurm ki tajwiz thi

    sirf dekha tha use us ka badan maila hua

    wo koi KHush-bu hai meri sans mein bahti hui

    main koi aansu hun us ki ruh mein girta hua

    us ke milne aur bichhaD jaane ka manzar ek hai

    kaun itne faslon mein be-hijab aisa hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now