Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha

Momin Khan Momin

raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    rāz-e-nihāñ zabān-e-aġhyār tak na pahuñchā

    kyā ek bhī hamārā ḳhat yaar tak na pahuñchā

    allāh re nā-tavānī jab shiddat-e-qalaq meñ

    bālīñ se sar uThāyā dīvār tak na pahuñchā

    rote to rahm aatā so us ke rū-ba-rū to

    ik qatra ḳhuuñ bhī chashm-e-ḳhūñ-bār tak na pahuñchā

    āshiq se mat bayāñ kar qatl-e-adū muzhda

    paiġhām-e-marg hai ye bīmār tak na pahuñchā

    be-baḳht rañg-e-ḳhūbī kis kaam ki maiñ to

    thā gulvale kisī dastār tak na pahuñchā

    muft avval-e-suḳhan meñ āshiq ne jaan de

    qāsid bayān terā iqrār tak na pahuñchā

    thī ḳhaar raah terī mizhgāñ yaad phir shab

    tā-sub.h ḳhvāb chashm-e-bedār tak na pahuñchā

    baḳht-e-rasā adū ke jo chāhe so kahe ab

    yak baar yaar mujh tak maiñ yaar tak na pahuñchā

    ġhairoñ se us ne hargiz chhoḌī na hāthā-pā.ī

    jab tak ajal sadma do-chār tak na pahuñchā

    'momin' usī ne mujh se bartarī kisī ko

    jo past-fahm mere ash.ār tak na pahuñchā

    raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha

    kya ek bhi hamara KHat yar tak na pahuncha

    allah re na-tawani jab shiddat-e-qalaq mein

    baalin se sar uThaya diwar tak na pahuncha

    rote to rahm aata so us ke ru-ba-ru to

    ek qatra KHun bhi chashm-e-KHun-bar tak na pahuncha

    aashiq se mat bayan kar qatl-e-adu ka muzhda

    paigham-e-marg hai ye bimar tak na pahuncha

    be-baKHt rang-e-KHubi kis kaam ka ki main to

    tha gulwale kisi ki dastar tak na pahuncha

    muft awwal-e-suKHan mein aashiq ne jaan de di

    qasid bayan tera iqrar tak na pahuncha

    thi KHar rah teri mizhgan ki yaad phir shab

    ta-subh KHwab chashm-e-bedar tak na pahuncha

    baKHt-e-rasa adu ke jo chahe so kahe ab

    yak bar yar mujh tak main yar tak na pahuncha

    ghairon se us ne hargiz chhoDi na hatha-pai

    jab tak ajal ka sadma do-chaar tak na pahuncha

    'momin' usi ne mujh se di bartari kisi ko

    jo past-fahm mere ashaar tak na pahuncha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now