rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain
rafāqatoñ meñ pashemāniyāñ to hotī haiñ
ki dostoñ se bhī nādāniyāñ to hotī haiñ
bas is sabab se ki tujh par bahut bharosa thā
gile na hoñ bhī to hairāniyāñ to hotī haiñ
udāsiyoñ kā sabab kyā kaheñ ba-juz is ke
ye zindagī hai pareshāniyāñ to hotī haiñ
'farāz' bhuul chukā hai tere firāq ke dukh
ki shā'iroñ meñ tan-āsāniyāñ to hotī haiñ
rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain
ki doston se bhi nadaniyan to hoti hain
bas is sabab se ki tujh par bahut bharosa tha
gile na hon bhi to hairaniyan to hoti hain
udasiyon ka sabab kya kahen ba-juz is ke
ye zindagi hai pareshaniyan to hoti hain
'faraaz' bhul chuka hai tere firaq ke dukh
ki sha'iron mein tan-asaniyan to hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.