Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki ek rangin sada par barse rang

Swappnil Tiwari

ishq ki ek rangin sada par barse rang

Swappnil Tiwari

MORE BYSwappnil Tiwari

    ishq ik rañgīn sadā par barse rang

    rang ho majnūñ aur lailā par barse rang

    kab tak chunrī par zulm hoñ rañgoñ ke

    rañgreza terī bhī qabā par barse rang

    ḳhvāb bhareñ tirī āñkheñ merī āñkhoñ meñ

    ek ghaTā se ek ghaTā par barse rang

    ik satrañgī ḳhushbū oḌh ke nikle

    is be-rañg udaas havā par barse rang

    ai devī ruḳhsār pe tere rang lage

    jogī almast jaTā par barse rang

    mere anāsir ḳhaak na hoñ bas rang baneñ

    aur jangal sahrā dariyā par barse rang

    sūraj apne par jhaTke aur sub.h uḌe

    niiñd nahā.ī is duniyā par barse rang

    ishq ki ek rangin sada par barse rang

    rang ho majnun aur laila par barse rang

    kab tak chunri par hi zulm hon rangon ke

    rangreza teri bhi qaba par barse rang

    KHwab bharen teri aankhen meri aankhon mein

    ek ghaTa se ek ghaTa par barse rang

    ek satrangi KHushbu oDh ke nikle tu

    is be-rang udas hawa par barse rang

    ai dewi ruKHsar pe tere rang lage

    jogi ki almast jaTa par barse rang

    mere anasir KHak na hon bas rang banen

    aur jangal sahra dariya par barse rang

    suraj apne par jhaTke aur subh uDe

    nind nahai is duniya par barse rang

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now