aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang

Faiz Ahmad Faiz

yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    yuuñ sajā chāñd ki jhalkā tire andāz rañg

    yuuñ fazā mahkī ki badlā mire hamrāz rañg

    sāya-e-chashm meñ hairāñ ruḳh-e-raushan jamāl

    surḳhī-e-lab meñ pareshāñ tirī āvāz rañg

    be-piye huuñ ki agar lutf karo āḳhir-e-shab

    shīsha-e-mai meñ Dhale sub.h ke āġhāz rañg

    chañg o nai rañg pe the apne lahū ke dam se

    dil ne lai badlī to maddham huā har saaz rañg

    ik suḳhan aur ki phir rañg-e-takallum terā

    harf-e-sāda ko ināyat kare e.ajāz rañg

    yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang

    yun faza mahki ki badla mere hamraaz ka rang

    saya-e-chashm mein hairan ruKH-e-raushan ka jamal

    surKHi-e-lab mein pareshan teri aawaz ka rang

    be-piye hun ki agar lutf karo aaKHir-e-shab

    shisha-e-mai mein Dhale subh ke aaghaz ka rang

    chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se

    dil ne lai badli to maddham hua har saz ka rang

    ek suKHan aur ki phir rang-e-takallum tera

    harf-e-sada ko inayat kare eajaz ka rang

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Ali

    Ghulam Ali

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    RECITATIONS

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin,

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano,

    Zia Mohyeddin

    yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang Zia Mohyeddin

    Iqbal Bano

    yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang Iqbal Bano

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 407)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now