Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai

Jameel Malik

raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai

Jameel Malik

raste meñ luT gayā hai to kyā qāfila to hai

yaaro na.e safar abhī hausla to hai

vāmāñdgī se uTh nahīñ saktā to kyā huā

manzil se āshnā na sahī naqsh-e-pā to hai

hāthoñ meñ haath le ke yahāñ se guzar chaleñ

qadmoñ meñ pul-sirāt sahī rāstā to hai

māñge raushnī to koī raushnī nahīñ

is daur-e-musta.ār meñ apnā diyā to hai

ye kyā zarūr hai maiñ kahūñ aur sune

jo merā haal hai vo tujhe bhī patā to hai

apnī shikāyateñ na sahī terā ġham sahī

iz.hār-e-dāstāñ koī silsila to hai

ham se koī ta'alluq-e-ḳhātir to hai use

vo yaar bā-vafā na sahī bevafā to hai

vo aa.e na aa.e mulāqāt ho na ho

rang-e-sahar ke paas ḳhirām-e-sabā to hai

paañv chaap se mirī dhaḌkan hai ham-navā

is dasht-e-haul meñ koī naġhma-sarā to hai

sūraj hamāre ghar nahīñ aayā to kyā huā

do-chār āñganoñ meñ ujālā huā to hai

kāñTā nikal bhī jā.egā jab vaqt aa.egā

kāñTe ke dil meñ bhī koī kāñTā chubhā to hai

maiñ reza reza uḌtā phirūñgā havā ke saath

sadiyoñ meñ jhāñk kar bhī mujhe dekhnā to hai

āshob-e-āgahī shab-e-be-kanār meñ

tere liye 'jamīl' koī sochtā to hai

raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai

yaro nae safar ka abhi hausla to hai

wamandgi se uTh nahin sakta to kya hua

manzil se aashna na sahi naqsh-e-pa to hai

hathon mein hath le ke yahan se guzar chalen

qadmon mein pul-siraat sahi rasta to hai

mange ki raushni to koi raushni nahin

is daur-e-mustaar mein apna diya to hai

ye kya zarur hai main kahun aur tu sune

jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai

apni shikayaten na sahi tera gham sahi

izhaar-e-dastan ka koi silsila to hai

hum se koi ta'alluq-e-KHatir to hai use

wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai

wo aae ya na aae mulaqat ho na ho

rang-e-sahar ke pas KHiram-e-saba to hai

panw ki chap se meri dhaDkan hai ham-nawa

is dasht-e-haul mein koi naghma-sara to hai

suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua

do-chaar aanganon mein ujala hua to hai

kanTa nikal bhi jaega jab waqt aaega

kanTe ke dil mein bhi koi kanTa chubha to hai

main reza reza uDta phirunga hawa ke sath

sadiyon mein jhank kar bhi mujhe dekhna to hai

aashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar mein

tere liye 'jamil' koi sochta to hai

Source :
  • Book : naquush (Pg. 254)
  • Edition : 1979

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now