aankhon se yun charaghon mein Dali hai raushni
ÄƱkhoƱ se yuuƱ charÄÄ”hoƱ meƱ DaalÄ« hai raushnÄ«
ham jaisÄ« chÄhte the banÄ lÄ« hai raushnÄ«
dariyÄ Ä”hurÅ«b hone chalÄ thÄ ki aaj raat
Ä”harqÄb kashtiyoƱ ne uchhÄlÄ« hai raushnÄ«
apnÄ« nashist chhoįø ke vaaƱ rakh diyÄ charÄÄ”h
maiƱ ne zamÄ«n de ke bachÄ lÄ« hai raushnÄ«
hÄthoƱ kÄ imtihÄn liyÄ saarÄ« saarÄ« raat
sÄƱche meƱ sub.h-o-shÄm ke DhÄlÄ« hai raushnÄ«
maiƱ ne kanÄr-e-shÄm guzÄrÄ« hai ek umr
maiƱ jÄntÄ huuƱ DÅ«bne vaalÄ« hai raushnÄ«
kyÄ raakh gir rahÄ« hai nazar kÄ« muƱDer se
įø³hÄlÄ« diyÄ hai aur įø³hayÄlÄ« hai raushnÄ«
is baar tere įø³hvÄb meƱ rakkhÄ hai apnÄ įø³hvÄb
is baar raushnÄ« meƱ sambhÄlÄ« hai raushnÄ«
aankhon se yun charaghon mein Dali hai raushni
hum jaisi chahte the bana li hai raushni
dariya ghurub hone chala tha ki aaj raat
gharqab kashtiyon ne uchhaali hai raushni
apni nashist chhoD ke wan rakh diya charagh
main ne zamin de ke bacha li hai raushni
hathon ka imtihan liya sari sari raat
sanche mein subh-o-sham ke Dhaali hai raushni
main ne kanar-e-sham guzari hai ek umr
main jaanta hun Dubne wali hai raushni
kya rakh gir rahi hai nazar ki munDer se
KHali diya hai aur KHayali hai raushni
is bar tere KHwab mein rakkha hai apna KHwab
is bar raushni mein sambhaali hai raushni
- Book : shab khuun (rekhta website)(39) (Pg. 59)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.