Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!

Syed Kashif Raza

ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!

Syed Kashif Raza

ye kaj-adā.ī ye ġhamza tirā kabhī phir yaar!

ki terā shahr nayā aur maiñ musāfir yaar!

aur kuchh na sahī, dost to hai āḳhir yaar!

dukhī rahā hai bahut aaj terā shā.ir yaar!

kahāñ lams, kahāñ havas, kahāñ visāl

taḌap rahā huuñ tirī hamdamī ḳhātir yaar!

sambhal bhī jaatā thā dil tere hijr meñ, ya.anī

rahā huuñ maiñ bhī tirī aarzū munkir yaar!

pukārtī haiñ mujhe ghanTiyāñ tirī aise

ki jaisā terā madīna ho koī mandir yaar!

ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!

ki tera shahr naya aur main musafir yar!

tu aur kuchh na sahi, dost to hai aaKHir yar!

dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!

kahan ka lams, kahan ki hawas, kahan ka visal

taDap raha hun teri hamdami ki KHatir yar!

sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein, yani

raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!

pukarti hain mujhe ghanTiyan teri aise

ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now