Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ridaen chalen KHak-danon ki jaanib

Jina Quraishi

ridaen chalen KHak-danon ki jaanib

Jina Quraishi

MORE BYJina Quraishi

    ridā.eñ chaleñ ḳhāk-dānoñ jānib

    vafā.eñ khule sar dukānoñ jānib

    tire har sitam par yūñhī be-irāda

    nazar uTh ga.ī āsmānoñ jānib

    ajab hai ye kār-e-suḳhan sher-goī

    dhakele hai ratbul-lisānoñ jānib

    nazar sarsarā.ī badan par yuuñ mere

    baḌhe saañp jaise ḳhazānoñ jānib

    mirā ishq kahtā hai mujh se ki aa

    tujhe le chalūñ maiñ uḌānoñ jānib

    abhī tifl-e-maktab huuñ aur nā-ahl bhī

    kidhar le chale imtihānoñ jānib

    shab-e-tār kachchā ghaḌā ek dariyā

    maiñ baḌhne lagī dāstānoñ jānib

    to malbe se mere ta.amīr hogā

    girā ke mujhe baḌh makānoñ jānib

    merī raah chunñā ki ab maiñ ravāñ huuñ

    vafāoñ ke raushan nishānoñ jānib

    ye nād-e-alī ajab mo.ajiza thā

    sabhī tiir palTe kamānoñ jānib

    ridaen chalen KHak-danon ki jaanib

    wafaen khule sar dukanon ki jaanib

    tere har sitam par yunhi be-irada

    nazar uTh gai aasmanon ki jaanib

    ajab hai ye kar-e-suKHan sher-goi

    dhakele hai ratbul-lisanon ki jaanib

    nazar sarsarai badan par yun mere

    baDhe sanp jaise KHazanon ki jaanib

    mera ishq kahta hai mujh se ki aa ja

    tujhe le chalun main uDanon ki jaanib

    abhi tifl-e-maktab hun aur na-ahl bhi

    kidhar le chale imtihanon ki jaanib

    shab-e-tar kachcha ghaDa ek dariya

    main baDhne lagi dastanon ki jaanib

    to malbe se mere hi tamir hoga

    gira ke mujhe baDh makanon ki jaanib

    meri rah chunna ki ab main rawan hun

    wafaon ke raushan nishanon ki jaanib

    ye nad-e-ali ka ajab moajiza tha

    sabhi tir palTe kamanon ki jaanib

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now