Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai

Firaq Gorakhpuri

ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    rukī rukī shab-e-marg ḳhatm par aa.ī

    vo pau phaTī vo na.ī zindagī nazar aa.ī

    ye moḌ vo hai ki parchhā.iyāñ bhī deñgī na saath

    musāfiroñ se kaho us rahguzar aa.ī

    fazā tabassum-e-sub.h-e-bahār thī lekin

    pahuñch ke manzil-e-jānāñ pe aañkh bhar aa.ī

    kahīñ zamān-o-makāñ meñ hai naam ko bhī sukūñ

    magar ye baat mohabbat baat par aa.ī

    kisī bazm-e-tarab meñ hayāt baTtī thī

    umīd-vāroñ meñ kal maut bhī nazar aa.ī

    kahāñ har ek se insāniyat baar uThā

    ki ye balā bhī tire āshiqoñ ke sar aa.ī

    diloñ meñ aaj tirī yaad muddatoñ ke ba.ad

    ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.ī

    nayā nahīñ hai mujhe marg-e-nā-gahāñ payām

    hazār rañg se apnī mujhe ḳhabar aa.ī

    fazā ko jaise koī raag chīrtā jaa.e

    tirī nigāh diloñ meñ yūñhī utar aa.ī

    zarā visāl ke ba.ad aa.ina to dekh ai dost

    tire jamāl doshīzgī nikhar aa.ī

    tirā aks sarishk-e-ġham-e-zamāna meñ thā

    nigāh meñ tirī tasvīr utar aa.ī

    ajab nahīñ ki chaman-dar-chaman bane har phuul

    kalī kalī sabā ke god bhar aa.ī

    shab-e-'firāq' uThe dil meñ aur bhī kuchh dard

    kahūñ ye kaise tirī yaad rāt-bhar aa.ī

    ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai

    wo pau phaTi wo nai zindagi nazar aai

    ye moD wo hai ki parchhaiyan bhi dengi na sath

    musafiron se kaho us ki rahguzar aai

    faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin

    pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai

    kahin zaman-o-makan mein hai nam ko bhi sukun

    magar ye baat mohabbat ki baat par aai

    kisi ki bazm-e-tarab mein hayat baTti thi

    umid-waron mein kal maut bhi nazar aai

    kahan har ek se insaniyat ka bar uTha

    ki ye bala bhi tere aashiqon ke sar aai

    dilon mein aaj teri yaad muddaton ke baad

    ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aai

    naya nahin hai mujhe marg-e-na-gahan ka payam

    hazar rang se apni mujhe KHabar aai

    faza ko jaise koi rag chirta jae

    teri nigah dilon mein yunhi utar aai

    zara visal ke baad aaina to dekh ai dost

    tere jamal ki doshizgi nikhar aai

    tera hi aks sarishk-e-gham-e-zamana mein tha

    nigah mein teri taswir si utar aai

    ajab nahin ki chaman-dar-chaman bane har phul

    kali kali ki saba ja ke god bhar aai

    shab-e-'firaq' uThe dil mein aur bhi kuchh dard

    kahun ye kaise teri yaad raat-bhar aai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now