saqi tere baghair hai mahfil se dil uchaT
saaqī tire baġhair hai mahfil se dil uchāT
so jaise jī udaas hai so dil se dil uchāT
sū-e-adam phire chale jaate haiñ qāfile
sab ham-safar haiñ ziist hai manzil se dil uchāT
jis roz se ki shauq-e-asīrī huā mujhe
sayyād hai shikār-e-anādil se dil uchāT
Thukrā.e bhī na aa ke lahad fātiha kujā
mar kar huā huuñ us but-e-qātil se dil uchāT
juz marg kuchh nahīñ hai tap-e-hijr kā ilaaj
ham naqsh chaaT kar hue aamil se dil uchāT
kāñToñ pe misl-e-qais kahāñ tak ravāñ-davāñ
lailā-e-jāñ hai jism kī mahmil se dil uchāT
dozaḳh mujhe bahisht ke badle qubūl hai
aisā huuñ ek hūr-shamā.il se dil uchāT
jhankār se maiñ chār-qadam aage jā.ūñgā
zindān meñ huā jo salāsil se dil uchāT
majnūñ kī chaal lailā agar do-qadam chale
tābūt dil-pasand ho mahmil se dil uchāT
qātil hamāre dil ko taḌaptā na chhoḌ jā
ik dam ke vāste na ho bismil se dil uchāT
ai 'bahr' yaar saath nahīñ jā.iye kahāñ
gulshan se jī udaas hai mahfil se dil uchāT
saqi tere baghair hai mahfil se dil uchaT
so jaise ji udas hai so dil se dil uchaT
su-e-adam phire chale jate hain qafile
sab ham-safar hain zist hai manzil se dil uchaT
jis roz se ki shauq-e-asiri hua mujhe
sayyaad hai shikar-e-anadil se dil uchaT
Thukrae bhi na aa ke lahad fatiha kuja
mar kar hua hun us but-e-qatil se dil uchaT
juz marg kuchh nahin hai tap-e-hijr ka ilaj
hum naqsh chaT kar hue aamil se dil uchaT
kanTon pe misl-e-qais kahan tak rawan-dawan
laila-e-jaan hai jism ki mahmil se dil uchaT
dozaKH mujhe bahisht ke badle qubul hai
aisa hun ek hur-shamail se dil uchaT
jhankar se main chaar-qadam aage jaunga
zindan mein hua jo salasil se dil uchaT
majnun ki chaal laila agar do-qadam chale
tabut dil-pasand ho mahmil se dil uchaT
qatil hamare dil ko taDapta na chhoD ja
ek dam ke waste na ho bismil se dil uchaT
ai 'bahr' yar sath nahin jaiye kahan
gulshan se ji udas hai mahfil se dil uchaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.