Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai

Shaikh Ibrahim Zauq

sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai

Shaikh Ibrahim Zauq

sab ko duniyā havas ḳhvār liye phirtī hai

kaun phirtā hai ye murdār liye phirtī hai

ghar se bāhar na nikaltā kabhī apne ḳhurshīd

havas-e-garmī-e-bāzār liye phirtī hai

vo mire aḳhtar-e-tāle hai vāzhūñ gardish

ki falak ko bhī nigūñ-sār liye phirtī hai

kar diyā kyā tire abrū ne ishāra qātil

ki qazā haath meñ talvār liye phirtī hai

ke ik baar na phirnā thā jahāñ vaañ mujh ko

be-qarārī hai ki sau baar liye phirtī hai

sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai

kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai

ghar se bahar na nikalta kabhi apne KHurshid

hawas-e-garmi-e-bazar liye phirti hai

wo mere aKHtar-e-tale ki hai wazhun gardish

ki falak ko bhi nigun-sar liye phirti hai

kar diya kya tere abru ne ishaara qatil

ki qaza hath mein talwar liye phirti hai

ja ke ek bar na phirna tha jahan wan mujh ko

be-qarari hai ki sau bar liye phirti hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now