sab mujhe aarzi sa lagta hai
sab mujhe aarzī sā lagtā hai
tū magar zindagī sā lagtā hai
aa.ina hai magar na jaane kyuuñ
aadmī aadmī sā lagtā hai
ḳhud ko kitnā bhulā diyā maiñ ne
tū bhī ab ajnabī sā lagtā hai
ishq meñ zindagī basar karnā
aql ko ḳhud-kushī sā lagtā hai
jo tire hijr meñ milā 'momin'
bas vahī ġham ḳhushī sā lagtā hai
sab mujhe aarzi sa lagta hai
tu magar zindagi sa lagta hai
aaina hai magar na jaane kyun
aadmi aadmi sa lagta hai
KHud ko kitna bhula diya main ne
tu bhi ab ajnabi sa lagta hai
ishq mein zindagi basar karna
aql ko KHud-kushi sa lagta hai
jo tere hijr mein mila 'momin'
bas wahi gham KHushi sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.