sach ye hai be-kar hamein gham hota hai
sach ye hai be-kār hameñ ġham hotā hai
jo chāhā thā duniyā meñ kam hotā hai
Dhaltā sūraj phailā jañgal rasta gum
ham se pūchho kaisā aalam hotā hai
ġhairoñ ko kab fursat hai dukh dene kī
jab hotā hai koī hamdam hotā hai
zaḳhm to ham ne in āñkhoñ se dekhe haiñ
logoñ se sunte haiñ marham hotā hai
zehn kī shāḳhoñ par ash.ār aa jaate haiñ
jab terī yādoñ kā mausam hotā hai
sach ye hai be-kar hamein gham hota hai
jo chaha tha duniya mein kam hota hai
Dhalta suraj phaila jangal rasta gum
hum se puchho kaisa aalam hota hai
ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai koi hamdam hota hai
zaKHm to hum ne in aankhon se dekhe hain
logon se sunte hain marham hota hai
zehn ki shaKHon par ashaar aa jate hain
jab teri yaadon ka mausam hota hai
- Book : tarkash (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.