safar ka shauq na manzil ki justuju baqi
safar kā shauq na manzil kī justujū baaqī
musāfiroñ ke badan meñ nahīñ lahū baaqī
tamām raat havāoñ kā gasht jaarī thā
savere tak na rahā koī hū-ba-hū baaqī
sabhī tarah se ta.āruf to ho gayā un kā
rahī hai ab to mulāqāt rū-ba-rū baaqī
jo bhiiḌ bikhre to dekhūñ talab ye kaisī hai
dayār-e-ġhair meñ hai kis kī justujū baaqī
vahī nazāre vahī garmī-e-suḳhan hai magar
na hī vo baat na vo tarz-e-guftugū baaqī
zamāna mujh se judā ho gayā zamāna huā
rahā hai ab to bichhaḌne ko mujh se tū baaqī
usī lihāz kā 'ābid' malāl hai ham ko
rahā na aaj jo daurān-e-guftugū baaqī
safar ka shauq na manzil ki justuju baqi
musafiron ke badan mein nahin lahu baqi
tamam raat hawaon ka gasht jari tha
sawere tak na raha koi hu-ba-hu baqi
sabhi tarah se taaruf to ho gaya un ka
rahi hai ab to mulaqat ru-ba-ru baqi
jo bhiD bikhre to dekhun talab ye kaisi hai
dayar-e-ghair mein hai kis ki justuju baqi
wahi nazare wahi garmi-e-suKHan hai magar
na hi wo baat na wo tarz-e-guftugu baqi
zamana mujh se juda ho gaya zamana hua
raha hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baqi
usi lihaz ka 'abid' malal hai hum ko
raha na aaj jo dauran-e-guftugu baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.