safina rakhta hun darkar ek samundar hai
safīna rakhtā huuñ darkār ik samundar hai
havā.eñ kahtī haiñ us paar ik samundar hai
maiñ ek lahr huuñ apne makān meñ aur phir
hujūm-e-kūcha-o-bāzār ik samundar hai
ye merā dil hai mirā ā.īna hai shahzādī
aur ā.īne meñ giraftār ik samundar hai
kahāñ vo pairahan-e-surḳh aur kahāñ vo badan
ki aks-e-māh se bedār ik samundar hai
ye intihā-e-masarrat kā shahr hai 'sarvat'
yahāñ to har dar-o-dīvār ik samundar hai
safina rakhta hun darkar ek samundar hai
hawaen kahti hain us par ek samundar hai
main ek lahr hun apne makan mein aur phir
hujum-e-kucha-o-bazar ek samundar hai
ye mera dil hai mera aaina hai shahzadi
aur aaine mein giraftar ek samundar hai
kahan wo pairahan-e-surKH aur kahan wo badan
ki aks-e-mah se bedar ek samundar hai
ye intiha-e-masarrat ka shahr hai 'sarwat'
yahan to har dar-o-diwar ek samundar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.