Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair

Ajay Sahaab

sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair

Ajay Sahaab

sahrā-e-lā-hudūd meñ tishna-labī ḳhair

māhaul-e-ashk-bār meñ lab hañsī ḳhair

laffāz saare ban ga.e shāh-e-suḳhan yahāñ

sādiq suḳhan-varoñ suḳhan-parvarī ḳhair

mashriq meñ hind-o-chīn ke bāzār yuuñ baḌhe

jāh-o-jalāl-e-maġhribo-bartānavī ḳhair

hai auratoñ dhuum zamīñ se falak talak

sa.ī-e-baqā-e-shaukat-e-mardāngī ḳhair

arzāñ hai musht-e-ḳhāk se insān hayāt

tahzīb-e-qatl-o-ḳhūn meñ ab zindagī ḳhair

har samt qatl-e-ām hai maz.hab ke naam par

saarī aqīdatoñ ḳhudā-parvarī ḳhair

jamhūriyat laash pe tāqat hai ḳhanda-zan

is barahna nizām meñ har aadmī ḳhair

saarā vatan samajh chukā dair-o-haram sach

bad-kār rahbarān bāzīgarī ḳhair

urdu ġhazal ke naam pe chalte haiñ chuTkule

ġhālib ke faiz 'mīr' us sāhirī ḳhair

maġhrib se aa ga.ī yahāñ tahzīb-e-barahna

mashriq tirī rivāyatī pākīzgī ḳhair

andhe parakh rahe yahāñ me.ār-e-raushnī

dīdavar-e-hunar tirī dīda-varī ḳhair

sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair

mahaul-e-ashk-bar mein lab ki hansi ki KHair

laffaz sare ban gae shah-e-suKHan yahan

sadiq suKHan-waron ki suKHan-parwari ki KHair

mashriq mein hind-o-chin ke bazar yun baDhe

jah-o-jalal-e-maghribo-bartanawi ki KHair

hai auraton ki dhum zamin se falak talak

sai-e-baqa-e-shaukat-e-mardangi ki KHair

arzan hai musht-e-KHak se insan ki hayat

tahzib-e-qatl-o-KHun mein ab zindagi ki KHair

har samt qatl-e-am hai mazhab ke nam par

sari aqidaton ki KHuda-parwari ki KHair

jamhuriyat ki lash pe taqat hai KHanda-zan

is barahna nizam mein har aadmi ki KHair

sara watan samajh chuka dair-o-haram ka sach

bad-kar rahbaran ki bazigari ki KHair

urdu ghazal ke nam pe chalte hain chuTkule

ghaalib ke faiz 'mir' ki us sahiri ki KHair

maghrib se aa gai yahan tahzib-e-barahna

mashriq teri riwayati pakizgi ki KHair

andhe parakh rahe yahan mear-e-raushni

didawar-e-hunar teri dida-wari ki KHair

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now