sair karne se hawa lene se
sair karne se havÄ lene se
kaam hai dil ko maza lene se
dhuup saa.e kÄŤ tarah phail ga.ÄŤ
in daraḳhtoĂą kÄŤ duÄ lene se
is tarah haal koÄŤ chhuptÄ hai
is tarah zaḳhm chhupÄ lene se
koÄŤ maqbĹŤl duÄ hotÄŤ hai
sirf hÄthoĂą ko uThÄ lene se
mere jaisÄ vo nahÄŤĂą ho saktÄ
merÄ andÄz churÄ lene se
raat kuchh achchhÄŤ guzar jaatÄŤ hai
chÄĂąd ko chhat pe bulÄ lene se
vaqt be-vaqt kÄ ÄzÄr milÄ
vaqt ko saath lagÄ lene se
aaj bhÄŤ naam vahÄŤ hai apnÄ
kyÄ huÄ naam kamÄ lene se
sair karne se hawa lene se
kaam hai dil ko maza lene se
dhup sae ki tarah phail gai
in daraKHton ki dua lene se
is tarah haal koi chhupta hai
is tarah zaKHm chhupa lene se
koi maqbul dua hoti hai
sirf hathon ko uTha lene se
mere jaisa wo nahin ho sakta
mera andaz chura lene se
raat kuchh achchhi guzar jati hai
chand ko chhat pe bula lene se
waqt be-waqt ka aazar mila
waqt ko sath laga lene se
aaj bhi nam wahi hai apna
kya hua nam kama lene se
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 86)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.