Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun

Javed Shaheen

samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    samajh rahā hai zamāna riyā ke pīchhe huuñ

    maiñ ek aur tarah se ḳhudā ke pīchhe huuñ

    kahīñ kahīñ se ziyāda siyah hai merā badan

    bahut kaalī hai jo is havā ke pīchhe huuñ

    ye aa rahī hai kahāñ se samajh nahīñ aatī

    bahut bhed bharī ik sadā ke pīchhe huuñ

    tirī banā.ī huī fard-e-jurm kahtī hai

    ki jaise maiñ yahāñ har ḳhatā ke pīchhe huuñ

    zarā dekh luuñ phir puurā khīñch lūñgā use

    azal se maiñ kisī kam-numā ke pīchhe huuñ

    hai kuchh ġhalat mirī sarisht meñ 'shāhīñ'

    maiñ ḳhud apnī har ik ibtilā ke pīchhe huuñ

    samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun

    main ek aur tarah se KHuda ke pichhe hun

    kahin kahin se ziyaada siyah hai mera badan

    bahut hi kali hai jo is hawa ke pichhe hun

    ye aa rahi hai kahan se samajh nahin aati

    bahut hi bhed bhari ek sada ke pichhe hun

    teri banai hui fard-e-jurm kahti hai

    ki jaise main hi yahan har KHata ke pichhe hun

    zara sa dekh lun phir pura khinch lunga use

    azal se hi main kisi kam-numa ke pichhe hun

    hai kuchh ghalat sa meri hi sarisht mein 'shahin'

    main KHud hi apni har ek ibtila ke pichhe hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now