Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin

Iftikhar Arif

samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin

Iftikhar Arif

samajh rahe haiñ magar bolne yaarā nahīñ

jo ham se mil ke bichhaḌ jaa.e vo hamārā nahīñ

abhī se barf ulajhne lagī hai bāloñ se

abhī to qarz-e-mah-o-sāl bhī utārā nahīñ

bas ek shaam use āvāz thī hijr shaam

phir us ke ba.ad use umr bhar pukārā nahīñ

havā kuchh aisī chalī hai ki tere vahshī ko

mizāj-pursī-e-bād-e-sabā gavārā nahīñ

samundaroñ ko bhī hairat huī ki Dūbte vaqt

kisī ko ham ne madad ke liye pukārā nahīñ

vo ham nahīñ the to phir kaun thā sar-e-bāzār

jo kah rahā thā ki biknā hameñ gavārā nahīñ

ham ahl-e-dil haiñ mohabbat nisbatoñ ke amiin

hamāre paas zamīnoñ goshvāra nahīñ

samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin

jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin

abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se

abhi to qarz-e-mah-o-sal bhi utara nahin

bas ek sham use aawaz di thi hijr ki sham

phir us ke baad use umr bhar pukara nahin

hawa kuchh aisi chali hai ki tere wahshi ko

mizaj-pursi-e-baad-e-saba gawara nahin

samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte waqt

kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin

wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar

jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin

hum ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amin

hamare pas zaminon ka goshwara nahin

RECITATIONS

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif,

00:00/00:00
Iftikhar Arif

samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin Iftikhar Arif

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now