Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

Farhan Salim

tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

Farhan Salim

MORE BYFarhan Salim

    mirī ibtidā mirī intihā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    terī manzil bane merā har rāstā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    roz-o-shab mauj-dar-mauj huuñ dar-ba-dar roz-o-shab sāhiloñ par paTaktā huuñ sar

    haath aatā nahīñ phir bhī dāman tirā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    merī shorīdgī ke ye tūfān sab merī ḳhāmoshiyoñ ke ye armān sab

    kuchh nahīñ ik tirī aarzū ke sivā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    manzil mirī had hai mirī tujh se vābastagī nām-zad hai mirī

    na ho gar to maiñ ḳhud meñ kho jā.ūñgā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    ḳhushbuoñ se tirī ye mahaktā safar yuuñ jaarī rahegā mire auj par

    masāfat mirī maiñ tirā rāstā maiñ samundar huuñ sāhiloñ havā

    tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

    teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

    roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par paTakta hun sar

    hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa

    meri shoridgi ke ye tufan sab meri KHamoshiyon ke ye arman sab

    kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa

    tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri

    tu na ho gar to main KHud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa

    KHushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par

    tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now