Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha

Irfan Siddiqi

sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā

    sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā

    aaj tak haiñ usī kūche meñ nigāheñ ābād

    sūrateñ achchhī charāġh achchhe darīcha achchhā

    ek chullū se bhare ghar bhalā kyā hogā

    ham ko bhī nahr se pyāsā palaT aanā achchhā

    phuul chehroñ se bhī pyāre to nahīñ haiñ jañgal

    shaam ho jaa.e to bastī rasta achchhā

    raat bhar rahtā hai zaḳhmoñ se charāġhāñ dil meñ

    raftagāñ tum ne lagā rakkhā hai mela achchhā

    ke ham dekh chuke band hai darvāza-e-shahr

    ek raat aur ye rukne bahāna achchhā

    sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha

    sochiye aadmi achchha ki parinda achchha

    aaj tak hain usi kuche mein nigahen aabaad

    suraten achchhi charagh achchhe daricha achchha

    ek chullu se bhare ghar ka bhala kya hoga

    hum ko bhi nahr se pyasa palaT aana achchha

    phul chehron se bhi pyare to nahin hain jangal

    sham ho jae to basti hi ka rasta achchha

    raat bhar rahta hai zaKHmon se charaghan dil mein

    raftagan tum ne laga rakkha hai mela achchha

    ja ke hum dekh chuke band hai darwaza-e-shahr

    ek raat aur ye rukne ka bahana achchha

    Source :
    • Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 43)
    • Author : Irfan Siddiqi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now